ABOUT US


Assalam u Alaekum



Taleem Ka Mafhum :
       Taleem har insaan chahay wo ameer ho ya ghareeb, mard ho ya aurat ki bunyaadi zarooriyaat mein say ek hai. Ye har insaan ka haq hai jo koi usay nahe chheen sakta. Insaan aur haiwaan mein farq taleem he ki badulat hai. Ye kisi bhi Muaashray ya Qaum kay lye taraqi ki zamant hai. Taleem he qaumon ki taraqi aur zawaal ki waja bnti hain. Taleem haasil karnay ka matlab sirf school, college ya university say koi degree lena nahe balkay eskay saath tameez aur tehzeeb seekhna bhe hai takay insaan apni muaasharti riwayaat aur iqdaar ka paas rakh sakay. Taleem insaan ka kirdaar bhe sanwaarti hai. Taleem ek aici dolat hai jo baant’nay say kum nahe balkay barhti hai. Insaan ko “ashraf ul makhlooqaat” ka darja bhe sirf taleem ki waja say mila.
Dunya kay Tamaam mazahib mai taleem ko khaas Ahemiyat haasil hai. Islam mai taleem haasil kana har musalmaan mard aur aurat par farz haiALLAH nay ye kaainaat bhi is lye banaai takay insaan taleem kay zariye eskay poshida raaz pehchan sakay aur Uski maarfut haasil kar kay Usko pehchaan sakay.  ALLAH nay he insaan ko dunya ki tamaam cheezon par foqiyat di aur sub cheezon ko uskay matehet kiya kyun kay wo taleem ki  waja say en sub say a’ala hai. Nabi S.A.W.W nay farmaya “Taleem haasil karo beshak es kay lye tmhe cheen (china) he jana padhe.
                                                                                 BY :         YUSUF KHAN
                                                                                                 B.A.B.Sc.B.Ed
                                                                                                ASST.TEACHER
                                                                               CELL NO :  (9850458459)

No comments:

Post a Comment